kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon
ab tumhaare hawaale watan saathiyon
saans thamti gayi nabz jamti gayi
phir bhi badhte kadam ko na rukne diyaa
kat gaye sar hamaare to kuchh gham nahin
sar himaalay kaa hamne na jhukne diyaa
marte marte rahaa baankaapan saathiyon,
ab tumhaare hawaale watan saathiyon
zindaa rahne ke mausam bahut hain magar
jaan dene ki rut roz aati nahin
husn aur ishq donon ko ruswaa kare
wo jawaani jo khoon mein nahaati nahin
aaj dharti bani hai dulhan saathiyon
ab tumhaare hawaale watan saathiyon
raah qurbaaniyon ki na veeraan ho
tum sajaate hi rahnaa naye qaafile
fatah kaa jashn is jashn ke baad hai
zindagi maut se mil rahi hai gale
bandh lo apne sar se kafan saathiyon,
ab tumhaare hawaale watan saathiyon
kar chale ham fidaa jaan-o-tan saathiyon
ab tumhaare hawaale watan saathiyon
khench do apne khoon se zameen par lakeer
is taraf aane paaye na Raavan koyi
tod do haath agar haath uthne lage
chhoone paaye na Seetaa kaa daaman koyi
Raam bhi tum tumhi Lakshman saathiyon,
ab tumhaare hawaale watan saathiyon